buund ko buund samundar ko samundar kahna
samne koi ho sachcha.i ko khul kar kahna
qafile valon ke is sabr-o-tahammul ko salam
koi asan hai rahzan ko bhi rahbar kahna
nekiyan milti hain nisbat se buzurgon ki miyan
ye bhi tabligh hai is baat ko ghar ghar kahna
baaz ba-baz kabutar ba-kabutar rakhiye
kuchh munasib nahin har ik ko ham-sar kahna
guftugu ke hain kuchh adab ghazal valon men
zulf ko kaali ghaTa aankh ko saghar kahna
Leave a Reply