dastur tha jo gham ka purana badal gaya
sambhle na the abhi ki zamana badal gaya
shikva nahin ki saghar-o-mina badal gae
tuuta khumar kaif-e-shabana badal gaya
jo baab the aham abhi hone the vo raqam
par kya ki likhte likhte fasana badal gaya
mashq-e-sukhan vahi hai mashaqqat bhi hai vahi
kaise karun yaqin zamana badal gaya
naghma-sara hain ham to usi sur men lai men hain
par log kah rahe hain tarana badal gaya
qaaem purane hilon bahanon pe aaj bhi
samjhe the is ka tarz bahana badal gaya
meri thi kya majal haqiqat badal sakun
khake tah-e-khayal banana badal gaya
‘adil’ tujhe yaqin nahin aaya na aaega
tera vo yar-e-ghar purana badal gaya
Leave a Reply