dastar-e-hunar baḳhshish-e-darbar nahin hai
sad shukr ki shanon pe ye sar baar nahin hai
ab to ye makan qatl-gahen banne lage hain
achchha hai vo jis ka koi ghar-bar nahin hai
tahris-o-saza se nahin badlenge ye bayan ham
ik baar nahin jab hai to har baar nahin hai
har ek pe khul jaa.e bila farq maratib
aisa ho to dahliz pe darbar nahin hai
aa jaa.e tavazun men ye mahaul ki mizan
insaf ke palḌe men magar baar nahin hai
zulmat se nikal aa.en chamakte hue raste
par mash.al-e-ehsas sharar-bar nahin hai
haath aa.ega kya sahil-e-lab se hamen ‘anjum’
jab dil ka samundar hi guhar-bar nahin hai
Leave a Reply