bezar faza darpa-e-azar saba hai
yuun hai ki har ik hamdam-e-derina khafa hai
haan bada-kasho aaya hai ab rang pe mausam
ab sair ke qabil ravish-e-ab-o-hava hai
umdi hai har ik samt se ilzam ki barsat
chhai hui har daang malamat ki ghata hai
vo chiiz bhari hai ki sulagti hai surahi
har kasa-e-mai zahr-e-halahal se siva hai
haan jaam uthao ki ba-yad-e-lab-e-shirin
ye zahr to yaron ne kai baar piya hai
is jazba-e-dil ki na saza hai na jaza hai
maqsud-e-rah-e-shauq vafa hai na jafa hai
ehsas-e-gham-e-dil jo gham-e-dil ka sila hai
us husn ka ehsas hai jo teri ata hai
har subh-e-gulistan hai tira ru-e-baharin
har phuul tiri yaad ka naqsh-e-kaf-e-pa hai
har bhigi hui raat tiri zulf ki shabnam
dhalta hua suraj tire honton ki faza hai
har raah pahunchti hai tiri chaah ke dar tak
har harf-e-tamanna tire qadmon ki sada hai
taazir-e-siyasat hai na ghairon ki khata hai
vo zulm jo ham ne dil-e-vahshi pe kiya hai
zindan-e-rah-e-yar men paband hue ham
zanjir-ba-kaf hai na koi band-bapa hai
”majburi o dava-e-giraftari-e-ulfat
dast-e-tah-e-sang-amada paiman-e-vafa hai”
Leave a Reply