
Hashim Raza Jalalpuri
dasht men ḳhaak uḌate hain dua karte hain
ham qalandar jahan jaate hain dua karte hain
yaar to yaar hain dushman bhi sada duur rahen
ishq se jaan chhuḌate hain dua karte hain
ye saliqa ki mohabbat ne sikhaya hai hamen
zaḳhm hanste hue khate hain dua karte hain
tera dil shaad rahe aur tu abad rahe
ham tujhe chhoḌ ke jaate hain dua karte hain
ham kabhi dar-o-rasan par kabhi zindanon men
jaan ki baazi lagate hain dua karte hain
ghalib-o-mir se nisbat ka sharaf hasil ho
aao ab haath uThate hain dua karte hain

Leave a Reply