dasht-e-talab men kab se akela khaḌa huun main
jis ka nahin javab koi vo sada huun main
kis ki talash hai mujhe apne vajud men
vo kaun kho gaya hai jise DhunDhta huun main
ye main ne kab kaha tha ki Thahro mire liye
dekha to hota muḌ ke kahan rah gaya huun main
hai kis ka intizar tujhe rah-e-raftagan
teri hadon se duur bahut ja chuka huun main
muddat ke baad lauT ke ghar aa gaya to huun
ab sochne laga huun koi dusra huun main
Leave a Reply