dasht-e-ghurbat men agar saath tumhara hota
kyuun na sadiyon ka safar ham ko gavara hota
apni taz.in se kuchh vaqt bacha kar janan
mere mahaul ki zulfon ko sanvara hota
apne masnad se zara niche utar kar tu ne
ek lamha hi mire saath guzara hota
ruk na jaata vo kisi koh-e-giran ki manind
tu ne gar vaqt ke dariya ko pukara hota
mere be-nur darichon men ziya ki ḳhatir
koi jugnu koi suraj koi taara hota
Leave a Reply