suni na dasht ya dariya ki bhi kabhi main ne
ki be-khudi men guzari hai zindagi main ne
bitai maut ke saaye men zindagi apni
bina hi zahr ke kar li hai khud-kushi main ne
nadi ho taal samundar ya dasht ho koi
sabhi ke lab pe hi dekhi hai tishnagi main ne
kabhi to mera kaha maan zindagi meri
tiri khushi men hi paai hai har khushi main ne
kabhi hai sard kabhi garm se libason men
hava ko di hai kai baar odhni main ne
tire liye to zamin asman ek kiye
kahan kahan na talasha tujhe khushi main ne
udhedta hi raha tu yaqin ki chadar
tamam umr rafu ki silai ki main ne
tumhari yaad ke paude laga ke is dil men
faza-e-dil men bhi khushbu si ghol di main ne
gulab ki kali ‘sima’ nikhri hai jab
tumhare ishq ki shabnam ki buund pi main ne
Leave a Reply