dasht-e-gham se guzar raha huun main
tirgi men nikhar raha huun main
vaqt ne qadr ki nahin varna
vaqt ka ham-safar raha huun main
bikhra bikhra huun ek muddat se
rafta rafta sanvar raha huun main
ḳhud-numa.i ki har bulandi se
ziina ziina utar raha huun main
shukr tera ki ai junun-e-safar
ḳhud se bhi be-ḳhabar raha huun main
naam mera ‘kamal’ hai lekin
umr bhar be-asar raha huun main
Leave a Reply