kanTon Tumhein Phulon Ki Chubhan Yaad Rahegi

kāñToñ tumheñ phūloñ kī chubhan yaad rahegī

bhūloge ki rūdād-e-chaman yaad rahegī

kyā bhūlne degī vo mujhe rāt-kī-rānī

vo zulf vo ḳhushbu-e-badan yaad rahegī

ye zaḳhm-e-dil-e-zār to bhar jā.egā ik din

lekin tire māthe kī shikan yaad rahegī

thā sāya-fagan jis pe koī fat.h kā parcham

vo laash bhī be gor-o-kafan yaad rahegī

manzil pe maza degī mujhe lazzat-e-manzil

ya.anī mujhe qadmoñ kī thakan yaad rahegī

ye sach hai mujhe daad kī ḳhvāhish nahīñ ‘saulat’

nā-qadrī-e-arbāb-e-suḳhan yaad rahegī

Leave a Comment