dasht-e-dil men sarab taaza hain
bujh chuki aankh ḳhvab taaza hain
dastan-e-shikast-e-dil hai vahi
ek do chaar baab taaza hain
koi mausam ho dil-gulistan men
aarzu ke gulab taaza hain
dosti ki zaban hui matruk
nafraton ke nisab taaza hain
agahi ke hamari ankhon par
jis qadar hain azaab taaza hain
zaḳhm-dar-zaḳhm dil ke khate men
doston ke hisab taaza hain
sar pe buḌhi zamin ke ‘amjad’
ab ke ye aftab taaza hain
Leave a Reply