• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Darwazon Par Din Bhar Ki Thakan Tahrir Hui

Darwazon Par Din Bhar Ki Thakan Tahrir Hui

darvazon par din bhar ki thakan tahrir hui

mire shahr ki shab har chaukhaT ki zanjir hui

sab dhuup utar ga.i TuuTi hui divaron se

magar ek kiran mere ḳhvabon men asiir hui

mira suuna ghar mire siine se lag kar rota hai

mire bhaa.i tumhen is baar bahut taḳhir hui

hamen ranj bahut tha dasht ki be-imkani ka

lo ghaib se phir ik shakl zuhur-pazir hui

koi hairat mere lahje ki pahchan bani

koi chahat mere lafzon ki tasir hui

is dard ke qatil-manzar ko ilzam na do

ye to dekhne vaali ankhon ki taqsir hui

kisi lashkar se kahin bahta paani rukta hai

kabhi ju-e-ravan kisi zalim ki jagir hui

phir lauh pe luTne vaale ḳhazane likhe ga.e

mujhe ab ke baras bhi daulat-e-jan taqdir hui

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHWAJA GHULAM FARID

Musag Malendi da Gujar Gaya denh Sara

Wo Charagh-E-Jaan Ki Charagh Tha Kahin Rahguzar Mein Bujh Gaya

jigar-moradabadi

Ishq Mein La-Jawab Hain Hum Log

Nae Jahan Mein Purani Sharab Le Aae

Safar Ka Silsila aaKHir Kahan Tamam Karun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet