jiina hai sab ke saath ki insan main bhi huun
chehre badal badal ke pareshan main bhi huun
jhonka hava ka chupke se kanon men kah gaya
ik kanpte diye ka nigahban main bhi huun
inkar ab tujhe bhi hai meri shanaḳht se
lekin na bhuul ye tiri pahchan main bhi huun
ankhon men manzaron ko jab abad kar liya
dil ne kiya ye tanz ki viran main bhi huun
apne siva kisi se nahin dushmani ‘qamar’
har lamha ḳhud se dast o gareban main bhi huun
Leave a Reply