dariya-o-mauj sa kabhi ham se juda na ho
ai but ḳhuda talak bhi tira ashna na ho
mahfil men is pari ki jo ye dil-jala na ho
yarab sharab-e-nab men hi kuchh maza na ho
us sabz ḳhat ke bose liye main ne ḳhvab men
yarab ghubar dil men kahin aa gaya na ho
pilva rahe ho ru-ba-ru ghairon ko jam-e-mai
aur kahte ho mujhe to miri jaan ḳhafa na ho
meri ravish pe kis liye bahka hai kya hua
majnun se kah do chup bhi ho yuun bavla na ho
nik.hat se mushk-o-itr ki duniya mahak ga.i
paani nahane men tira juuḌa khula na ho
mar hi gaya udhar jo mira nama-bar gaya
qasid ḳhuda ke vaste tu bhi fana na ho
baḳht-e-siyah zalil hamen yuun bhi karte hain
jis shab vo aa.e ghar ko usi shab diya na ho
laala ho arghavan ho suḳhan ho gulab ho
champa ho yasman ho magar diliya na ho
ab-e-ravan ho chandni ho sabza-zar ho
nargis ki tarah ghair koi dekhta na ho
saaqi ho mai ho gaa.en pari-zad sab bahar
saghar se jald chalne men charḳh-e-duta na ho
pariyon ka raqs ru-ba-ru hota rahe mudam
pahlu se yaar lab se piyala juda na ho
saman-e-aish gar ye mayassar ho ai ‘nasim’
haT-dharmi hai zaban pe jo shukr-e-ḳhuda na ho
Leave a Reply