dard ko zabt ki sarhad se guzar jaane do
ab sameTo na hamen aur bikhar jaane do
ham se hoga na kabhi apni ḳhudi ka sauda
ham agar dil se utarte hain utar jaane do
tum ta.ayyun na karo apni hadon ka hargiz
jab bhi jaise bhi jahan jaa.e nazar jaane do
itna kaafi hai ki vo saath nahin hai mere
kyuun hua kaise hua chaak jigar jaane do
dil jalao ki taḳhayyul ka jahan raushan ho
tirgi ḳhatm karo raat sanvar jaane do
ishq saani hai to phir us men shikayat kaisi
ham na kahte the ki ik zaḳhm hai bhar jaane do
yaar ma.amul pe lauT a.enge kuchh sabr karo
us fusun-gar ki nigahon ka asar jaane do
shart jiina hai bhaTakna to bahana hai faqat
vo jidhar jaata hai har sham-o-sahar jaane do
main ne roka tha use is ka havala de kar
ruuTh kar phir bhi vo jaata hai agar jaane do
ḳhush-guman hai vo bahut jiit pe apni ‘zakir’
ham bhi chal sakte the ik chaal magar jaane do
Leave a Reply