
Farkhanda Rizvi
umr bhar ki dosti ka haan bharam rakkha na tha
ba.ad muddat ke khula mujh pe ki vo mera na tha
yuun jala.e zindagi bhar main ne yadon ke charagh
samne jin ke charagh-e-digaran jalta na tha
kal main us ki guftugu sunti rahi sunti rahi
is mohabbat se vo pahle to kabhi bola na tha
kuchh to andaza tha mujh ko us ki ankhon ka magar
dil ki halat ka ye us ne baab yuun khola na tha
sochti huun kyuun main jaise gung ho kar rah ga.i
is tarah siine men dil pahle kabhi dhaḌka na tha
e’tiraf-e-ishq ne namnak ki ankhen miri
aankh men kajal qasam hai is tarah phaila na tha
us ki ḳhvahish thi so ‘farḳhanda’ main qaa.il ho ga.i
vo payam-e-ishq bhejega kabhi socha na tha

Leave a Reply