• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Imtihan Lene Chala Hai Meri Binai Ka

Imtihan Lene Chala Hai Meri Binai Ka

narjis-afroz-zaidi

imtihan lene chala hai miri binai ka

us ko andaza nahin baat ki gahrai ka

is liye rok liya uttha hua haath ham ne

us ke har vaar men andaz tha paspai ka

khvab likhti rahin ankhen dar-o-bam-e-shab par

subh ik pahlu dikhati rahi sachchai ka

ajnabi ho gae ik chhat tale rahne vaale

kuchh to kaffara ada karna tha yakjai ka

main ne manga tha zara der ko chehra apna

aaina de gaya ik zakhm shanasai ka

banu-e-sham tire surmai anchal se pare

koi sathi hai miri badiya-paimai ka

ab chatak ya na chatak ghuncha-e-khatir main ne

rasta chhod diya dekhna purvai ka

us se mil kar hui har baar mohabbat taaza

us ne badla nahin andaz pazirai ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kahin Zahir Ye Teri Chah Na Ki

kaTi pahaD Si Shab Intizar Karte Hue

nazeer-akbarabadi

Hai Chah Ne Uski Jab Se Ki Ja dil Mein

Sara Bagh Ulajh Jata Hai Aisi Be-Tartibi Se

poet

Inko Nafrat Ise Kya Kahte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet