dard ki lahar yaqinan mire ghar jaegi
main na hunga to khuda jaane kidhar jaegi
mauja-e-khun se guzarna hai guzar jaegi
char-din baad ye naddi bhi utar jaegi
kaun kar sakta hai afkar-o-nazar ko mahsur
kaam khushbu ka bikharna hai bikhar jaegi
manzil-e-zist tujhe main na karunga mayus
main na pahuncha to miri gard-e-safar jaegi
main andheron ke tasalsul se nahin huun khaif
raushni aaj nahin kal mire ghar jaegi
main to mar sakta huun halat ke sannaton men
dosto kya miri avaz bhi mar jaegi
Leave a Reply