• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dard Kam Hone Laga Aao Ki Kuchh Raat Kate

dard Kam Hone Laga Aao Ki Kuchh Raat Kate

nasir-kazmi

dard kam hone laga aao ki kuchh raat kate

gham ki miad badha jaao ki kuchh raat kate

hijr men ah-o-buka rasm-e-kohan hai lekin

aaj ye rasm hi doharao ki kuchh raat kate

yuun to tum raushni-e-qalb-o-nazar ho lekin

aaj vo moajiza dikhlao ki kuchh raat kate

dil dukhata hai vo mil kar bhi magar aaj ki raat

isi be-dard ko le aao ki kuchh raat kate

dam ghuta jaata hai afsurda-dili se yaaro

koi afvah hi phailao ki kuchh raat kate

main bhi be-kar huun aur tum bhi ho viran bahut

dosto aaj na ghar jaao ki kuchh raat kate

chhod aae ho sar-e-sham use kyuun ‘nasir’

use phir ghar se bala laao ki kuchh raat kate

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

noon-meem-rashid

Chala Aa Raha Hun Samundaron Ke Visal Se

Aa Jae Na Raat Kashtiyon Mein

Sufi

Mere Wajud Ke Aangan Mein Khwab Raushan Tha

sannaTa Chha Gaya Hai Shab-E-Gham Ki Chap Par

Sufi

Main Kya Hun Mujhe Tumne Jo Aazar Pe Khincha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet