Dard Itna Bhi Nahin Hai Ki Chhupa Bhi Na Sakun

dard itnā bhī nahīñ hai ki chhupā bhī na sakūñ

bojh aisā bhī nahīñ hai ki uThā bhī na sakūñ

yuuñ samā.ī hai in āñkhoñ meñ batā bhī na sakūñ

dil kī dīvār pe tasvīr sajā bhī na sakūñ

ḳhairiyat pūchhte rahte ho magar haal ye hai

us kī āvāz meñ āvāz milā bhī na sakūñ

aa mire paas zarā sun ke batā kahtī hai kyā

dil kī dhaḌkan jo sar-e-ām sunā bhī na sakūñ

jabr dekhā thā magar aisā nahīñ dekhā thā

aise pahre haiñ ki palkeñ maiñ uThā bhī na sakūñ

uñgliyāñ chaak huā kartī thiiñ pahle ‘sājid’

ab ga.e haath ki maiñ haath milā bhī na sakūñ

Leave a Comment