• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / dard-E-Mushtarak

dard-E-Mushtarak

qateel-shifai

main ne jo zulm kabhi tujh se rava rakkha tha

aaj usi zulm ke phande men giraftar huun main

main ne jo tiir tire haath se chhina tha kabhi

aaj usi tiir ke ghaav se nigun-sar huun main

jis ki khatir tiri zillat bhi gavara thi mujhe

aaj usi ”paikar-e-ismat” ka khata-kar huun main

miri aankhon ne jise chand kaha tha kal tak

aaj usi shoala-e-parran se araq-bar huun main

tu na chahe bhi to afaq hansega mujh par

vaqt ke haath men tuuti hui talvar huun main

main ne chaha tha ki insan ki azmat ke liye

ek mazlum javani ko sahara de duun

ek thukrae hue pyaar ke sadme bantun

ek bhatke hue raahi ko ishara de duun

ek jhulse hue ehsas ko thandak bakhshun

aur kaunain ko phir zauq-e-nazara de duun

main ne ikhlas ke phulon se banae gajre

main ne ikhlas ke phulon se banae gajre

main ne ehsas ke jhulon men jhulaya us ko

main ne rondi hui rahon pe bichhai anhken

main ne paigham sitaron ka sunaya us ko

main ne aflas ke dariya ka tamavvuj pi kar

ik nai aas ke sahil pe lagaya us ko

aaj main soch raha huun shab-e-tanhai men

kis qadar talkh javani ki luti yaden hain

dekh is daur men aivan-e-mohabbat ke liye

kaisi kaisi gham-o-andoh ki buniyaden hain

kal tire dida-e-hairan se lahu phuta tha

aaj mere lab-e-khamosh pe fariyaden hain

ye mohabbat ye vafaen ye muravvat ye khulus

in ko sarmae ne be-kar bana rakkha hai

husn aur husn ke har ek sanam-khane ko

zar-paraston ne jafakar bana rakkha hai

aa ki us daur ka meaar badalna hai hamen

jis ne har zehn ko bimar bana rakkha hai

aa ki us jins-e-giran-qadr ko bedar karen

jis ne ham sab ko kharidar bana rakkha hai

aa ki us fitna-e-zarposh ko uryan kar den

jis ne afaq ko bazar bana rakkha hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

In donon Ghar Ka Khana-Khuda Kaun Ghair Hai

Junun Gar baDh Gaya Ruswaiyan Barbaad Kar Dengi

Mila Kisi Se Na Achchha Laga suKHan Is Bar

Aabla Hai Ki Ghaw Jo Bhi Hai

Kam Se Kam Duniya Se Itna Mera Rishta Ho Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet