mere pahlu men jo bah nikle tumhare aansu
ban gae sham-e-mohabbat ke sitare aansu
dekh sakta hai bhala kaun ye paare aansu
meri aankhon men na aa jaaen tumhare aansu
shama ka aks jhalakta hai jo har aansu men
ban gae bhigi hui raat ke taare aansu
menh ki bundon ki tarah ho gae saste kyuun aaj
motiyon se kahin mahnge the tumhare aansu
saaf iqrar-e-mohabbat ho zaban se kyunkar
aankh men aa gae yuun sharm ke maare aansu
hijr abhi duur hai main paas huun ai jan-e-vafa
kyuun hue jaate hain bechain tumhare aansu
subh-dam dekh na le koi ye bhiga anchal
meri chughli kahin kha den na tumhare aansu
apne daman o gareban ko main kyuun pesh karun
hain mire ishq ka inaam tumhare aansu
dam-e-rukhsat hai qarib ai gham-e-furqat khush ho
karne vaale hain judai ke ishare aansu
sadqe us jan-e-mohabbat ke main ‘akhtar’ jis ke
raat bhar bahte rahe shauq ke maare aansu
Leave a Reply