jo la-maz.hab ho us ko millat-o-mashrab se kya matlab
mira mashrab hai rindi rind ko maz.hab se kya matlab
kitab-e-dars-e-majnun mus.haf-e-ruḳhsar-e-laila hai
harif-e-nukta-dan-e-ishq ko maktab se kya matlab
hasinan-e-do-alam men hai jalva husn-e-yakta ka
nazar men husn-e-yakta jab hua un sab se kya matlab
hamara hosh har-dam ashna-e-nahnu-aqrab hai
huzuri jis ko hasil ho use yarab se kya matlab
tamanna.en bar aa.iin apni tark-e-mudda.a ho kar
hua dil be-tamanna ab raha matlab se kya matlab
hamare arsa-e-shatranj men hai shaah divana
jise hasil ho azadi use ardab se kya matlab
hamara sajda hai har gaam par pir-e-tariqat ko
suluk-e-ishq men sar hai qadam markab se kya matlab
hamen to yaar se matlab hai ‘sahir’ aur yaari se
hamara yaar aur aghyar ke matlab se kya matlab
Leave a Reply