dard-e-dil yaar raha dard se yaari na gai
zindagi ham se to be-lutf gizari na gai
din ke naale na gae raat ki zaari na gai
na gai dil se kabhi yaad tumhari na gai
ham to khun-gashta tamannaon ke matam men rahe
sina-kubi na gai sina-figari na gai
intizar aap ka kab lutf se khali nikla
raegan raat kisi roz hamari na gai
bakhshvaya mujhe tum ne to khuda ne bakhsha
na gai roz-e-jaza baat tumhari na gai
log kahte hain badalta hai zamana lekin
din hamara na gaya raat hamari na gai
Leave a Reply