dard-e-dil ke saath kya mere masiha kar diya
be-qarari baḌh ga.i hai jab se achchha kar diya
kya ajab thi un ke pakiza tabassum ki kiran
qalb ki tarik basti men ujala kar diya
jab na un ke raz-e-vahshat tak pahunch paa.i nazar
hosh valon ne junun valon ko rusva kar diya
nafraton ki had bana kar apne mere darmiyan
vo bhi tanha rah ga.e mujh ko bhi tanha kar diya
ab to had se baḌh ga.i thiin apne dil ki uljhanen
muskura kar aap ne gham ka mudava kar diya
har-nafas bad-e-sahar ki tarah maujen le uTha
kya kisi ne un ki aamad ka ishara kar diya
dekh kar saaqi ki mastana nigahi ai ‘guhar’
zindagi ko ham ne vaqf-e-jam-o-mina kar diya
Leave a Reply