ḳhvahishen intizar aur yaqin
vasvase be-shumar aur yaqin
tiin arkan adamiyat ke
ajizi inkisar aur yaqin
izn-e-rabb-ul-ala-o-raz-o-niyaz
aap siddiq-o-ghar aur yaqin
rah-e-dushvar laḌkhaḌate qadam
dasht-e-hairat ghubar aur yaqin
jang men jiit ki zamanat hain
hausla iḳhtiyar aur yaqin
mustaqil ishq ki himayat men
log ham tiin chaar aur yaqin
manzilen bad-gumaniyan vahshat
fasla sang-o-ḳhar aur yaqin
manzilon ka suragh aur husul
ishq par inhisar aur yaqin
lijiye imtihan ‘faisal’ ka
kijiye ek baar aur yaqin
Leave a Reply