• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / darbar 1911

darbar 1911

akbar-allahabadi

dekh aae ham bhi do din rah ke dehli ki bahar

hukm-e-hakim se hua tha ijtama-e-intishar

aadmi aur janvar aur ghar muzayyan aur machine

phuul aur sabza chamak aur raushni rail aur taar

kerosene aur barq aur petroleum aur tarpin

motor aur airplane aur jamghate aur eqtidar

mashriqi patlun men thi khidmat-guzari ki umang

maghribi shaklon se shan-e-khud-pasandi ashkar

shaukat-o-iqbal ke markaz huzur-e-emperor

zinat-o-daulat ki devi empress ali-tabar

bahr-e-hasti le raha tha be-daregh angdaiyan

thames ki amvaj jamuna se hui thiin ham-kanar

inqilab-e-dahr ke rangin naqshe pesh the

thi pae-ahl-e-basirat bagh-e-ibrat men bahar

zarre viranon se uthte the tamasha dekhne

chashm-e-hairat ban gai thi gardish-e-lail-o-nahar

jaame se bahar nigah-e-naz-e-fattahan-e-hind

hadd-e-qanuni ke andar honorablon ki qatar

kharch ka total dilon men chutkiyan leta hua

fikr-e-zati men khayal-e-qaum ghaeb fil-mazar

davaten inaam speachen qavaid fauj camp

izzaten khushiyan ummiden ehtiyaten e’tibar

pesh-rau shahi thi phir his-highness phir ahl-e-jah

baad is ke shaikh sahab un ke pichhe khaksar

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mayus Zindagi Ke Sahaare Chale Gae

najm-aafandi

Le Lunga Jaan de Ke Mohabbat Jahan Mile

Hamara Ho Ke Bhi Kab Apne Bas Mein Rahta Hai

poet

Dikhata Kya Hai Ye TuTi Hui Kaman Mujhe

poet

Nahin Sunta Nahin Aata Nahin Bas Mera Chalta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet