tamam raat paḌi thi ki din nikal aaya
abhi to aankh lagi thi ki din nikal aaya
yaqin ho puḳhta to phir shab badal bhi sakti hai
ye baat us ne kahi thi ki din nikal aaya
ye mo.ajaza bhi hamin par tamam hona tha
vo bas zara sa hansi thi ki din nikal aaya
main din nikalne ka vaise bhi muntazir tha bahut
ye jaan ḳhvab hui thi ki din nikal aaya
sahar se pahle bhala din kahan nikalta hai
zara si baat bani thi ki din nikal aaya
zara sa dard hua tha ki dil chamak uTTha
zara si sub.h hui thi ki din nikal aaya
karen jo ghaur yahi hai nizam-e-qudrat ‘tur’
ye raat ḳhatm hui thi ki din nikal aaya
Leave a Reply