• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Sare Ham-Safar Ek Bar Harz-e-Jaan Kar Len

Jo Sare Ham-Safar Ek Bar Harz-e-Jaan Kar Len

Sufi

jo saare ham-safar ik baar harz-e-jan kar len

to jis zamin pe qadam rakkhen asman kar len

ishara karti hain maujen ki aaega tufan

chalo ham apne iradon ko badban kar len

paron ko jod ke udne ka shauq hai jin ko

unhen batao ki mahfuz ashiyan kar len

jo qatl tu ne kiya tha bana ke mansuba

tire sitam ko badhaen to dastan kar len

dahakte shoalon pe chalne ka shauq hai jin ko

ruton ki aag men vo hausle javan kar len

ye un se kah do agar imtihan ki zid hai

samundaron ki tarah dil ko be-karan kar len

har ek buund ka lenge hisab ham ‘alvi’

hamare khuun se dil ko vo shadman kar len

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Nahin Aasan Ki Insan Mein Farishte Ki Ho KHu Paida

akhtar-ul-iman

Mufahamat

Sukun luTta Rahega Faza Hi Aisi Hai

Zabt-E-Girya Mein Bhi Girya to Kiya Hai Maine

Bedam Shah Warsi

Yun Gulshan-e-Hasti Ki Mali Ne Bana dali

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet