daraḳht ab kis ka rasta dekhte hain
musafir manzilon ke ho ga.e hain
ḳhuda jaane hui hai baat kaisi
muḳhalif sab ke sab apne hue hain
vahan to ishq hai ik khel goya
yahan to jaan ke laale paḌe hain
kahin gunja hai koi qahqaha kya
fazaon men bhanvar se paḌ rahe hain
isi duniya men hain kitni hi duniya
sabhi ke apne apne mas.ale hain
hamare zehn to mafluj the hi
hamare dil bhi patthar ho ga.e hain
dariche band darvaze muqaffal
bayaban ke magar raste khule hain
kahan ‘faruq’ raushan ḳhvab honge
hamari ankhon men to ratjage hain
Leave a Reply