shajar jis pe main rahta huun use kaata nahin karta
main ‘atish’ mulk se sapne men bhi dhoka nahin karta
banate kaise hain mitti se sona mujh ko aata hai
magar main dosto aisa koi daava nahin karta
bhula dete hain log aksar mohabbat men kiye vaade
tabhi to jaan main tum se koi vaada nahin karta
main ik budha shajar jis ko javan rakkha parindon ne
tabhi to main parindon se koi shikva nahin karta
udanen dekhni hain gar to meri shairi dekho
parinda huun main par aisa kabhi daava nahin karta
Leave a Reply