tum log yahan baithe ho
tum log yahan is liye baithe ho ki
jo tum men se yahan nahin hai
use vahan se utha diya gaya hai
tum men se koi portugal nahin gaya
lekin tumhare darmiyan mez aur kursiyan hain
jo duniya tum ko dikhane ke liye kaafi hai
is se badh kar bhi koi dukh hoga
jitna sochoge bhulte jaoge
masla
mausiqi ya aurten aur ab-o-hava bachche
akhbar ya ghizaon ke naam
yahan tak ki niind aa jaati hai
ya vo ek budha jis ke paanv
maidanon men chalte chalte khatm hue
us ki fasl us ke purane chehre ko
gaali de us par phenk di gai
nariyal ka bana hua huqqa bhi aur us men jo jala hua paani hota hai vo bhi tum log
us kamre men aa gae
tumhare samne mez par ashtray men abhi abhi jabki mulk ki ghadiyon men raat ke 9 baj rahe hain
ek cigarette ka jalta hua filter khatm ho raha hai
main tum sab ke baare men bahut kuchh kahna chahta huun kuchh bahut zaruri bhed hain
lekin agar kah duun to bahut bura hoga
tumhari gardanen mujhe insani shakl men dikhai nahin detin
ye gardanen jism ka filter hain
jism tafsilat men jal gae ab filter jal rahe hain
ye main nahin bataunga ki tumhen kis ne jala jala ke piya
maz.hab ne is jism men tumhare is kamre men jaise an-ginat kamre banae aur har kamra aag
jalae rakhne ki tarkib batai
main tum men se ek tha tumhare darmiyan musibat men khuda ka naam suna tha
karodon bhikariyon ke dilon ko samet kar roti ka ek sukha tukda mangne ke liye use pukara
kitabon men sachchai ke do lafz padhne ke liye mitti ke tel ki dheriyan char-paiyon par ulat diin
meri gharibi ke yadgar gudde aur bistar jal gae
zamin par itne kankar patthar inten bajri aur baalu ke zarre bhi nahin hoge
jitni meri rati hui duaen
ki auraton aur janvaron se chhutkara mil jaae
baat ye ki main khul kar rona chahta tha
itna ki tumhari abadiyon men bazaron ke hujum bhi nahin hoge aur ladkon ki galiyan jo nange pagalon ke pichhe daudti hain
suno main use apne dhang se chahta tha
itna ki ek arab nekiyon se bhare hue aspatal bhi kaafi nahin
are main jo khuda mangta huun vo tum dete nahin
aag jalane ki tarkib to main nahin janta
main tum se kahta huun mujhe jalao ya meri nabatat jalao main jalunga aur jalunga
kaam karunga aur kaam karunga
suno kaam karne ke liye ek aisi zindagi chahiye ki main tum sab ko bila-vaj.h marne se rok sakun
zindagi ka kaam kabhi rukta nahin
har-chand ki
buri bhiid ke zamana men achchhi kitaben likhne padhne ke mazbut saman nayab ho jaate hain
daulat bade style se ishtihari sukun bantti hai
microphone ya baap aur universitiyon men jab professor eazaz ki suliyon par khush-gavar dikhai dete hain
davaen ya maaen bahnen
tab bada ghalat andhera hota hai ghalat bete aur bhaai
jinhen bina-qimat liye agar tum chhu lo to kaghaz tumhen pakad lenge
kaghaz tumhen maar dalenge
yahi kaghaz jin se tumhare liye dhoke aur mustaqbil banate hain
chalo is bhiid se niklo
zindagi ka kaam kabhi rukta nahin
paas aao
main tumhari jebon ke jhuut se aaj tak dara nahin huun
un men rakhe hue paise nikal lunga
paise mat chhupao paas aao
ye main janta huun ki tumhari biviyan tumhari maut ke agnet hain
tumhare bete aur bhaai mujh se nafrat karte hain
main tumhare gharon ke dare hue band darvazon par dastak deta huun aur tum aur tumhare log
andar se chillate hain ki tum nahin ho
main tumhen marne se kyuun rokun har-chand ki rok sakta huun
maut kisi ko marne ke liye asman se nahin utarti
maut is liye hai ki tum ne use asman maan liya
zamin tumhen jagne ke liye di gai tum ne use mayus kiya
maut zamin ki mayusi par aaj tak khush hai
aur tumhare khvabon men chalne ki azadi hai
tambaku afiim aur bhang ke paude aaj tak khush hain ki vo tumhari mari hui maaon ki mamta hain
tumhari bahut si bimariyan tumhare jism men bade aram se hain
aur dava-khanon men bahut si davaen bhi bade aram se hain
main tumhen marne se kaise rokun
haan tum mujhe jiine se rokte ho
main tum se kahta huun ki tumhare chhode hue maidanon ki havaon ke jhonke jab tumhari khidkiyon men aa rahe hon to
khidkiyan mat band karo
baat ye hai ki tumhara jama kiya hua asasa tumhare jism ke ek maamuli roen tak ko nahin chamka sakta
tumhare jama kiye hue ghalat andheron par jab suraj chamakta hai
to tum us se uktate ho
tum mujhe bolne se rokte ho
main kahta huun tumhare ye makan tumhari aane vaali qabron se mukhtalif nahin
tum bainal-aqvami bichchhuon se ziyada chalak nahin
tum duniya ki badi kitabon se ziyada gambhir nahin ho
jab tak main tum se apne safar ka saara saman chhin nahin lunga tum se ikhtilaf karunga
tumhen marne se rokunga
Leave a Reply