agar ghaflat se baaz aaya jafa ki
talafi ki bhi zalim ne to kya ki
mare aghaz-e-ulfat men ham afsos
use bhi rah gai hasrat jafa ki
kabhi insaf hai dekha na didar
qayamat aksar us ku men raha ki
falak ke haath se main ja chhupun gar
khabar la de koi tahtus-sara ki
shab-e-vasl-e-adu kya kya jala huun
haqiqat khul gai roz-e-jaza ki
chaman men koi us ku se na aaya
gai barbad sab mehnat saba ki
kushad-e-dil pe bandhi hai kamar aaj
nahin hai khairiyat band-e-qaba ki
kiya jab iltifat us ne zara sa
padi ham ko husul-e-muddaa ki
kaha hai ghair ne tum se mira haal
kahe deti hai bebaki ada ki
tumhen shor-e-fughan se mere kya kaam
khabar lo apni chashm-e-surma-sa ki
diya ilm o hunar hasrat-kashi ko
falak ne mujh se ye kaisi dagha ki
gham-e-maqsad-rasi ta nazaa aur ham
ab aai maut bakht-e-na-rasa ki
mujhe ai dil tiri jaldi ne maara
nahin taqsir us der-ashna ki
jafa se thak gae to bhi na puchha
ki tu ne kis tavaqqo par vafa ki
kaha us but se marta huun to ‘momin’
kaha main kya karun marzi khuda ki
Leave a Reply