• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / dar

dar

naina-adil

kaise niklega jite-ji dil se dar ka ka sahib

kab khauf ki vahshi galiyon men bhatki hui saaat lautegi?

kab andeshon ke saanp mire pedon se lipatna chhodenge?

sahme hue shabdon ko apne siine se lagae baithi huun

kaise batlaun kyuun mujh ko din ke zahrile hathon se!

shamon ke surkh asebon se, raton ki be-dil ankhon se!

aur aas ke athon pahron se!

dar lagta hai

khvabon ke ran men pade hue khvahish ke adhure jismon se

aur maan ki ruuh men gade hue tar panjon se

jani-pahchani ankhon men pinhan an-jani vahshat se

rishton ke mazbah-khanon se

bandhan ki zinda lashon se

dar lagta hai

is jism ki divaron men hai dar ka khasta gaara sahib

shishe men raqsan sayon se, sanson aur avazon se

pal pal men badalte rangon se! dar lagta hai

………niili pad jaati huun sahib

chehre ki piili rangat ko kab tak main chhupaun ghaze men?

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tazad-E-Jazbaat Mein Ye Nazuk Maqam Aaya to Kya Karoge

Tanhai Mein Aksar Yahi Mahsus Hua Hai

Apni Palkon Se Uske Ishaare uTha

poet

Tumhaare Aastan Tak Aa Gae Hain

Mizaj-E-Shahr Jo Tahrir Karne Nikle Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet