go sirr-e-irtiqa-o-baqa mera jism hai
sunta huun to fana ki sada mera jism hai
main huun azal se vaqt ki gardish ka raz-dar
ye bazm-e-ka.enat hai kya mera jism hai
aisa raha chaman men ki mahsus ye hua
jo gul khila jo sabza uga mera jism hai
ankhon ke mavara jhalak uThta hai gah-gah
vo shoḳh jis ki saada qaba mera jism hai
meri talash meri talab be-had-o-hisab
meri hudud meri saza mera jism hai
shab ki dabiz tirgiyon ke javab men
ye ek TimTimata diya mera jism hai
ik mushta.il hujum sar-e-rahguzar tha
puchha ki kya hai main ne kaha mera jism hai
Leave a Reply