dar pe tere pukar ki fariyad
sama tu ne na yaar ki fariyad
nahin sunta hai lala-ru mera
is dil-e-daghdar ki fariyad
aah sunta hai kab vo rashk-e-bahar
ham ne go ab hazar ki fariyad
dekh us rashk-e-gul ko juun bulbul
main ne be-ikhtiyar ki fariyad
hijr men tere meri ankhon ne
ro ro jyuun abshar ki fariyad
roz sunte hain ham khizan men aah
bulbulon se bahar ki fariyad
sharar-e-garm ishq par jal ke
dil ne ispand-var ki fariyad
kaun sunta hai kis se ja kahiye
is dil-e-be-qarar ki fariyad
nala-e-zar ko mire sun kar
ne niin ho dil-figar ki fariyad
rah-e-ulfat men main ne har dil chaak
rah-e-ulfat men main ne ho dil chaak
jyuun jaras baar baar ki fariyad
gul ne bulbul ki sun li sun tu bhi
apne mahjur-e-zar ki fariyad
uff na halq-e-burida ne ki mire
khanjar-e-abdar ki fariyad
ho gaya khaak par kisi se na ki
main ne us shahsavar ki fariyad
kya ‘jahandar’ arz karta hai
suniyo is khaksar ki fariyad
Leave a Reply