Dar mujhe bhi lagta hai kam-nazar zamane se
kya karun na maane jab dil mira manane se
jal uTha tha pal bhar ko aap ki inayat se
bujh gaya charagh-e-dil aap ke bujhane se
vo to la-ubali hai kya use ḳhabar hogi
ham pe kya guzarti hai hal-e-dil chhupane se
barhami men chehre ko kyuun bigaḌ rakkha hai
ye hasin lagta hai sirf muskurane se
bam-o-dar mire ghar ke muntazir hain us din ke
jab tumhen mile fursat mahfilon men jaane se
ham vafa ke matvale jaan ko nahin Darte
baaz ab to aa jaao ham ko azmane se
dars jan-nisari ka tu hamen na de ‘tashna’
kya mila tujhe ab tak zindagi luTane se
Leave a Reply