agar kabhi tire azar se nikalta huun
to apne daera-e-kar se nikalta huun
hava-e-taza huun rukna nahin kahin bhi mujhe
gharon men ghusta huun ashjar se nikalta huun
kabhi hai us ke mazafat men numud miri
kabhi main apne hi asar se nikalta huun
main ghar men jab nahin hota to ghaas ki surat
daricha o dar-o-divar se nikalta huun
isi kinara-e-dariya-e-zat par har-dam
ghurub hota huun us paar se nikalta huun
vidaa karti hai rozana zindagi mujh ko
main roz maut ke manjdhar se nikalta huun
ruka hua koi sailab huun tabiat ka
hamesha tundi-e-raftar se nikalta huun
ise bhi kuchh miri himmat hi janiye jo kabhi
khayal-o-khvab ke ambar se nikalta huun
libas bechta huun ja ke pahle apna ‘zafar’
to kuchh kharid ke bazar se nikalta huun
Leave a Reply