dar koi jannat-e-pindar ka va karta huun
a.ina dekh ke main hamd-o-sana karta huun
raat aur din ke kinaron ke ta.alluq ki qasam
vaqt milte hain to milne ki dua karta huun
vo tira unchi haveli ke qafas men rahna
yaad aa.e to parindon ko riha karta huun
ek laḌki ke ta.aqub men ka.i barson se
nit-na.i zaat ke hotel men raha karta huun
puchhta rahta huun maujon se guhar ki ḳhabren
ashk-e-gum-gashta ka dariya se pata karta huun
mujh se ‘mansur’ kisi ne to ye pucha hota
nange paanv main tire shahr men kya karta huun
Leave a Reply