dhuup men niklo ghataon men naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho
sirf ankhon se hi duniya nahin dekhi jaati
dil ki dhadkan ko bhi binai bana kar dekho
pattharon men bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-divar saja kar dekho
vo sitara hai chamakne do yunhi ankhon men
kya zaruri hai use jism bana kar dekho
fasla nazron ka dhoka bhi to ho sakta hai
vo mile ya na mile haath badha kar dekho
Leave a Reply