daman-o-kanar ashk se kab tar na hue aah
do chaar bhi aansu mire gauhar na hue aah
jaise ki dil un lala-azaron ke hain sangin
dil chahne valon ke bhi patthar na hue aah
kahte hain ki nikla hai vo ab sair-e-chaman ko
kya vaqt hai is vaqt mire par na hue aah
khuban ke to ham fidvi o banda bhi kahae
lekin vo hamare na hue par na hue aah
kya tafraqa hai jab ki gae ham to na tha vo
aur aaya vo ham paas to ham ghar na hue aah
kya naqs hai us ghairat-e-khurshid ke aage
ham laal to kab hote hain akhgar na hue aah
dariya bhi bahe mai ke par ai bada-parastan
ye khushk vo lab hain ki kabhi tar na hue aah
dekh us ko ‘nazir’ ab mujhe aata hai yahi rashk
kyuun ham bhi usi tarah ke dilbar na hue aah
Leave a Reply