• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Damak Raha Tha Bahut Yun to Pairahan Us Ka

Damak Raha Tha Bahut Yun to Pairahan Us Ka

damak raha tha bahut yuun to pairahan us ka

zara se lams ne raushan kiya badan us ka

vo ḳhaak uḌane pe aa.e to saare dasht us ke

chale gudaz-qadam to chaman chaman us ka

vo jhuuT sach se pare raat kuchh sunata tha

dilon men raast utarta gaya suḳhan us ka

ajiib ab-o-hava ka vo rahne vaala hai

milega ḳhvab o ḳhala men kahin vatan us ka

tiri taraf se na kya kya sitam hue us par

main janta huun bahut dost bhi na ban us ka

vo roz shaam se sham.en dhuan dhuan us ki

vo roz sub.h ujala kiran kiran us ka

miri nazar men hai mahfuz aaj bhi ‘bani’

badan kasa hua malbus be-shikan us ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek khiDki Gali Ki Khuli Raat Bhar

poet

Sach Kah Raza Ye Kis Se Lagai Hai saT-Baat

Shikasta Chhat Mein Parindon Ko Jab Thikana Mila

Gunge Lafzon Ka Ye Be-Samt Safar Mera Hai

uThi Nigah to Apne Hi Ru-Ba-Ru Hum The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet