• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dam Bhar Ki KHushi Bais-E-Azar Bhi Hogi

Dam Bhar Ki KHushi Bais-E-Azar Bhi Hogi

dam bhar ki ḳhushi ba.is-e-azar bhi hogi

is raah men saaya hai to divar bhi hogi

sadiyon se jahan jis ke ta.aqub men ravan hai

vo sa.at-e-sad-rang giraftar bhi hogi

rangon ki rida oḌh ke is reg-e-ravan par

utri hai jo shab vo shab-e-didar bhi hogi

kahta hai mire kaan men ḳhushbu ka payami

munh-band kali ma.el-e-guftar bhi hogi

saa.e se lipaT ja.enge qadmon se ba-har-gam

rusva.i kuchh apni sar-e-bazar bhi hogi

ai shab na kaTegi tire siine ki syahi

ik shoḳh kiran muft gunahgar bhi hogi

sunte hain ki har sub.h ke hathon men ‘rashid’ ab

ik zahr men Duubi hui talvar bhi hogi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahnaz-nabi

insaf

abdul-hamid-adam

Main Raste Ka Bojh Hun Mera Na Kar Khayal

Sitam Ke War Se Zanjir surKH Hone Lagi

Ki Jae Chhup Ke Aisi Yahan Ghaebana Baat

Samne baiTh Ke Kuchh Baat Bhi Ho Sakti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet