daghon se dil-o-sina ke afroḳhta-jan huun
go main chaman-e-taza huun par vaqf-e-ḳhizan huun
pahlu men agar dil hai to tu dil men hai mere
go nang-e-ḳhala.eq huun magar jan-e-jahan huun
jis ḳhaak pe main baiTh gaya fitna uThaya
kis sarv-e-ḳhiraman ki kaf-e-pa ka nishan huun
hamrah tumhare huun kisi ja huun kahin huun
saaya ki tarah tum ho jahan main bhi vahan huun
yarab ho bura vahshat dil ka ki nahin chain
jab ḳhaak hua mar ke to ab reg-e-ravan huun
kya ziist hai ye ḳhaak miri ashiq-e-nashad
gah masraf-e-fariyad huun gah vaqf-e-fughan huun
Leave a Reply