daf.atan ho ga.i gul sham-e-vafa tere baad
ḳhana-e-dil men ujala na hua tere baad
mausam-e-josh-e-junun men hua pamal chaman
le uḌi ḳhushbu-e-gul bad-e-saba tere baad
jam-e-mai shola-e-javvala nazar aata hai
aag barsati hai savan ki ghaTa tere baad
batini karb-o-aziyyat main bata.un kis ko
koi hamraz mujhe mil na saka tere ba.ad
jab bhi suljhana hon pechida masa.il mujh ko
chumta huun tire naqsh-e-kaf-e-pa tere baad
dil men rah rah ke mire roz chubha karti hai
ḳhaar ban ke tiri har tarz-e-ada tere baad
maut dar-asl hai tamhid-e-hayat-e-da.im
raz-e-hasti yahi ‘sahil’ pe khula tere baad
Leave a Reply