• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chhup Nahin Saktin Kabhi Sine Mein Baaten Raaz Ki

Chhup Nahin Saktin Kabhi Sine Mein Baaten Raaz Ki

poet

chhup nahin saktin kabhi siine men baten raaz ki

ik shikari si nazar hai mere tir-andaz ki

aaj kyon ahl-e-qafas se kar diya mujh ko juda

par katarvane the main ne is liye parvaz ki

yaad rakhna sham-e-mahfil ye mira zauq-e-sujud

aarzi hai umr tere naaz ki andaz ki

nik.hat-e-avara qaa.em tujh se hai bazm-e-chaman

teri ḳhamoshi sada hai saz-e-be-avaz ki

ham samajh kar bhi na samjhe apne charagar ki baat

pyaar tha ya mehrbani thi nigah-e-naz ki

bul-havas nazron ko piiri men hai itna hi malal

uḌ na sakne se jo halat hoti hai ik baaz ki

ik shua si dekhta huun bujh rahi sham.a men

hai bina anjam men bhi ik na.e aghaz ki

uḌ gaya jaate hi us se husn ka dilkash nikhar

aa.ine men bas ga.i surat tire e.ajaz ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Badan Ko Chhu Len Tere Aur surKH-Ru Ho Len

poet

dhundhta Haq Ko dar-Ba-dar Hai Tu

Ab Aur Daman-E-Dil Tar-Tar Kya Karte

Kise Bataun Ki Gham Kya Hai sarKHushi Kya Hai

Ek Hi KHat Mein Hai Kya Haal Jo Mazkur Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet