chhod un ko na jaane kidhar main gaya
duur tak tha na kuchh jis dagar main gaya
apne hathon se us ne jo mujh ko chhua
dekh tujh se ziyada nikhar main gaya
soch kar bas yahi ab milega khuda
har gali aur basti nagar main gaya
dekh kar mere halat degi vo ro
milne vapas agar maan se ghar main gaya
Leave a Reply