chhoḌ aa.e vo chashm-e-tar tanha
ab samundar hai aur safar tanha
saḳht mushkil hai ham-ḳhayali bhi
main idhar aur vo udhar tanha
ek suraj ke intizar men hai
ik sitara dam-e-sahar tanha
ik safar kaT gaya tumhare saath
aur ik rah gaya safar tanha
bhiiḌ men rasta nahin milta
shahr aisa ki har bashar tanha
aaj ghar men nahin hai koi bhi
aaj dekhunga rah ke ghar tanha
Leave a Reply