chehre ko bahal kar raha huun
duniya ka ḳhayal kar raha huun
ik kar-e-muhal kar raha huun
zinda huun kamal kar raha huun
vo gham jo abhi mile nahin hain
main un ka malal kar raha huun
ash.ar bhi davat-e-amal hain
taqlid-e-bilal kar raha huun
tasvir ko a.ina bana kar
tashrih-e-jamal kar raha huun
chehre pe javab chahta huun
ankhon se saval kar raha huun
kuchh bhi nahin dastaras men ‘sarshar’
kyuun fikr-e-ma.al kar raha huun
Leave a Reply