chashm ne ki gauhar-afshani sarih
ho gai ye ham se nadani sarih
munh chhupa qatil ki teri hi taraf
tak rahi hai chashm-e-qurbani sarih
karbala-e-ishq men ushshaq ki
tegh o khanjar par hai mehmani sarih
aine men bhi nahin padta hai aks
hai tiri tasvir la-sani sarih
zhala-san kyun-kar ghule javen na ham
hai jo aansu men pareshani sarih
kyunki istiqlal ka dam maren ham
ustukhan apne to hain paani sarih
mazra-e-dil kis tarah sarsabz ho
barq yaan karti hai jaulani sarih
mah-e-nau hai kis ke dar ka sajda-pash
ruk gai hai us ki peshani sarih
‘mushafi’ dam tode hai marta nahin
kar raha hai ye giran-jani sarih
Leave a Reply